Wednesday 29 October 2014

bending horizon

Tumhare khayalon ki boondon se 
dhundhle pade meri ankhon k sheeshe,
samete hai ek aas khud mein. 
K khwahishein tumse milne ki na jane kabse
bhatak rahi hain dil k sheher mein

Kabhi to adaton ka parda apne zehen ki khidkiyon se hata kar dekho us karvatt leti subah ko.
Wo subah
Wo subah jo mere man k deeewan-ae-aam ko tabdeel karti hai us deewan-ae-khaas mein 
jiski deewarein sajayi hain tumahare rangon ki nakkaashiyon se
Surkh laal un mehraabon ka rang utar aata hai mere chehre pe jab dekhta hoon ek jhalak tumhari hazaaron ki bheed mein.

Wo jhalak jo pighlati hai faaslon ki maum ko katra katra 
par ho nahi pati ankhon ki ankhon se mulaaqaat, pahunchata hai mere alfaaz tum tak
tum tak hamare darmiyan har zarra
Na Jane kab udhar se bhi ek aawaaz aayegi, jo is rooh ko sukoon pahunchayegi. 
isi khwab ko dhoondhane  aaj shayad fir neend un galiyon ki  ziyarat ko aayegi.....